Ek ek moti se banayi thi jo mala
aaj us mala ka har moti bikhra sa kyun hai
pehle jo khazana hua karta tha
aaj bana khandar kyun hai
Kya sahi hai kon sahi hai
aaj bana asmanjas kyun hai
meelo ki duriyan aaj
dilo ki duriyon se kam kyun hai
Hotho pe muskurahat,chehre pe hai khushi
phir bhi man paresan kyun hai
kya dhund raha hai ye man aaj
khoj pana ye muskil kyun hai
Aaj dil se nikle hai jo sabdh
unse bani hai ye meri kavita
par ise samajh pana
itna aasan bhi to nahi hai