Mujhe lagta hai ki sirf ye fayda hai ki vo apne decision khud le sake..khud acha bura pehchan sake...ye to ek bahut hi bada benefit hai apne aap mein par sirf tab tak jab tak uski shadi na ho....
A fter marraige jo kuch usne padha aur sikha apni ab tak ki life mein sab side mein ho jata hai...reh jata hia to sirf aur sirf samjhota har mod par...us se dhikhave k liye poocha to jata hai ki tumhari rai kya hia...par us cheej ka koi matlab nahi hota kyunki faisla to vahi hona hai jo baki gharwalo ko shai lagta hai khas kar k ghar ke male members ka.. agar vo kuch bole to yahi kaha jata hai ki ladki mein koi ghun hi nahi hai...ladki ko uske ma bap ne kuch nahi shikhya ..bad mein dekha jayega jo hoga etc.. par mujhe to ye samaj nahi aata ki parents ladkiyon ko pehle phoolon ki tarah kyun rakhte hai.. kyun use achi shiksha dete hai...jhuth aur anyay k khilaf ladna shikhate hai..jab bad mein use kante dekhne hia to pehle se kanto ka anubhav kyun nahi karvate...jab bad mein use vo hi jhuth ko sach banake bolna pade to sach bolne ki shikhsha hi kyun dete hai...anyay aur jhuth ko apni aankhon k aage hota dekhna pade vo bhi isliye ki sabki ijjat ka sawal hai.. to jab galat kam karte hai tabhi ye khayal kyun nahi aata ki ijjat
mitti mein mil jayegi...kyun sasural mein bahuon ko betiyon ka pyar nahi milta...kyun uska pati uski icchao ko,uske shaukh ko bina bataye nahi samaj pata.. agar ye aisa hi chalta rahega samaj mein to vo din dur nahi jab ladkiyan shadi k nam se hi dur bhagegi vaise sahi bhi hai..apne hisab se jeene ka hak to sabke pass hi hota hia na...to kyun ladkiyon ko kabhi biwi kabhi bahen kabhi bhabhi kabhi bahu banke apne sapno apne armano ki bali deni pade..
in sab batton se bahut se log ashamat honge but this is the real situation in india....
so i think that nothing much get benefitted when a girl get good education, because of the social environment.