Thursday, August 7, 2008

kab badlega samaj

Aaj k 21 vi sadi k jamane mein ladkiyan to aage badh gayi hai har field mein par shayad baki sab vahi k vahi reh gaye hai.. sabki soch vahi ki vahi haisamay k sath usme koi change nahi aaya hai..
pehle k samay mein ladkiyon ko koi padhata nahi tha... jin gharo pe padhate bhi the vahan kahin na kahin yahi soch rehti thi ki thik hai thoda padhalo baki to chulha choka hi sambhalna hai..aaj bhi kai jagah yahi hai par fir bhi pehle se bahut kam ho gaya hai..lekin aaj parents apni betiyon ko padhate hai,unheself independent banate hai.. par jaise hi beti ki shadi karte hai uspar se unka hak kam ho jata hai..unke liye vo parayi ho jati haikai bar galat hota hua dekh kar bhi maun rakhna padta hai.. hamesha hi khyal rakhna padta hai ki koi unch neech na ho jaye..koi kami na reh jaye vyavhar mein.. aur ladki jo pehle se ek khule mahol mein ladke ki tarah parawaris pakar pali ho,,vo ek naya ghar .. naye logo k sath adjustment karti hai.. kai bar anjane mein galtiyan bhi hoti hai..kai bar galat ka pata hote hue bhikuch nahi keh pati .. jabki schools mein padhaya jata hai ki galat karne se bhi bada papa galat hote hue dekhna hai.. par apne ghar walo ki ijjat k dar se.. kabhi kisi aur vajah se use chup rehna padta hai.. aur agar kabhi kuch galat bat ko galat bata bhi de.. to usi ko bhogna padta hai..usse yahi kaha jata hai ki yahi sahi hai..aur aisa hi hoga..phir aisa koi nahi hota vahan jo us ladki ka sath de.. na uske sas sasur, na uske ma bap and sabse importent na hi uska patijiske peeche uska sabse rista juda hota hai.. aisi situation mein vo ladki jo ache se janti hai ki galat ho raha hai par use chup rehna padta hai aur andar hi andar ghuti rehti hai.. aur sabse jyada hurt tab hota hai jab koi uske mayke walo ki burai kare .. ye kehkar ki mayke walo ne is cheeje mein kami rakh di jabki ladki ke ma bap hamesha apni hasiyat se jyada hi dete hia apni beti ko..aajkal koi dahej nahi mangta par phir bhi ladki k ma bap to apni beti ko jo de sakte hia vo sab kuch dete hai.. lekin tab bhi kabhi samaj k karan kabhi gharwalo k karan bat to aati hi hai kiye cheej nahi di .. ya ye khatirdari nahi ki..
ye cheeje vaise to sadiyo se chalti aa rahi hai par pahle logo men shiksha ka abhav tha jo aaj comparitively kam hai..par phir bhi padhe likhe log hi aisi galti karte haidekha jay to anpadh ya kam padhe log samay k sath chalte hai... unhe in sab cheejo mein koi intrest nahi hota..vo sirf sukh aur khushi dekhna chahte hai..
aaj ki generation jise in sab batton k liye time nahi hai.. na hi aisa kabhi socha hota haiaur aise mein agar shadi k bad vo ye sab face kare tab galat ko bhi sahi bolna padta hai...dhikhava karna padta hai...this all i came to know from one of my friend who got married recently.. i was really shocked ki abhi bhi aisa hota hai...well shayad samay k sath isme bhi change aaye .. yahi aasha k sathi told her to just keep patience and think good for all, no matter what they think about u..bcoz kabhi to acha samne aayega hi..pata nahi aur kitni ladkiyon k sath ye situation hui hai aur hoti hai..May God give courage to all of then to fight against it..

2 comments:

Nirali... said...

hmm puja ye samaj ki visangatiya hai jo har ladki aur uske parents ko jhelna padti hai...ham kitane bhi age bad jaye par ladakiyo ko lekar samaj/so called sasural walo ka behaviour kabhi nahi badlta ,...kahte sab hai ki bahu nahi beti ko laa rahe hai par late to wo bahu hi hai......aur usaki har chhhtoi badi galati par foran hangama khaa kiya jata hai....pata nahi ye samaj kab badalega...

Puja said...

thanks pooja..