Thursday, November 13, 2008

Kya ladkiyon ko acha padhane likhane se koi fayda hai ?

Mujhe lagta hai ki sirf ye fayda hai ki vo apne decision khud le sake..khud acha bura pehchan sake...ye to ek bahut hi bada benefit hai apne aap mein par sirf tab tak jab tak uski shadi na ho....
A fter marraige jo kuch usne padha aur sikha apni ab tak ki life mein sab side mein ho jata hai...reh jata hia to sirf aur sirf samjhota har mod par...us se dhikhave k liye poocha to jata hai ki tumhari rai kya hia...par us cheej ka koi matlab nahi hota kyunki faisla to vahi hona hai jo baki gharwalo ko shai lagta hai khas kar k ghar ke male members ka.. agar vo kuch bole to yahi kaha jata hai ki ladki mein koi ghun hi nahi hai...ladki ko uske ma bap ne kuch nahi shikhya ..bad mein dekha jayega jo hoga etc.. par mujhe to ye samaj nahi aata ki parents ladkiyon ko pehle phoolon ki tarah kyun rakhte hai.. kyun use achi shiksha dete hai...jhuth aur anyay k khilaf ladna shikhate hai..jab bad mein use kante dekhne hia to pehle se kanto ka anubhav kyun nahi karvate...jab bad mein use vo hi jhuth ko sach banake bolna pade to sach bolne ki shikhsha hi kyun dete hai...anyay aur jhuth ko apni aankhon k aage hota dekhna pade vo bhi isliye ki sabki ijjat ka sawal hai.. to jab galat kam karte hai tabhi ye khayal kyun nahi aata ki ijjat
mitti mein mil jayegi...kyun sasural mein bahuon ko betiyon ka pyar nahi milta...kyun uska pati uski icchao ko,uske shaukh ko bina bataye nahi samaj pata.. agar ye aisa hi chalta rahega samaj mein to vo din dur nahi jab ladkiyan shadi k nam se hi dur bhagegi vaise sahi bhi hai..apne hisab se jeene ka hak to sabke pass hi hota hia na...to kyun ladkiyon ko kabhi biwi kabhi bahen kabhi bhabhi kabhi bahu banke apne sapno apne armano ki bali deni pade..

in sab batton se bahut se log ashamat honge but this is the real situation in india....

so i think that nothing much get benefitted when a girl get good education, because of the social environment.

Thursday, August 7, 2008

kab badlega samaj

Aaj k 21 vi sadi k jamane mein ladkiyan to aage badh gayi hai har field mein par shayad baki sab vahi k vahi reh gaye hai.. sabki soch vahi ki vahi haisamay k sath usme koi change nahi aaya hai..
pehle k samay mein ladkiyon ko koi padhata nahi tha... jin gharo pe padhate bhi the vahan kahin na kahin yahi soch rehti thi ki thik hai thoda padhalo baki to chulha choka hi sambhalna hai..aaj bhi kai jagah yahi hai par fir bhi pehle se bahut kam ho gaya hai..lekin aaj parents apni betiyon ko padhate hai,unheself independent banate hai.. par jaise hi beti ki shadi karte hai uspar se unka hak kam ho jata hai..unke liye vo parayi ho jati haikai bar galat hota hua dekh kar bhi maun rakhna padta hai.. hamesha hi khyal rakhna padta hai ki koi unch neech na ho jaye..koi kami na reh jaye vyavhar mein.. aur ladki jo pehle se ek khule mahol mein ladke ki tarah parawaris pakar pali ho,,vo ek naya ghar .. naye logo k sath adjustment karti hai.. kai bar anjane mein galtiyan bhi hoti hai..kai bar galat ka pata hote hue bhikuch nahi keh pati .. jabki schools mein padhaya jata hai ki galat karne se bhi bada papa galat hote hue dekhna hai.. par apne ghar walo ki ijjat k dar se.. kabhi kisi aur vajah se use chup rehna padta hai.. aur agar kabhi kuch galat bat ko galat bata bhi de.. to usi ko bhogna padta hai..usse yahi kaha jata hai ki yahi sahi hai..aur aisa hi hoga..phir aisa koi nahi hota vahan jo us ladki ka sath de.. na uske sas sasur, na uske ma bap and sabse importent na hi uska patijiske peeche uska sabse rista juda hota hai.. aisi situation mein vo ladki jo ache se janti hai ki galat ho raha hai par use chup rehna padta hai aur andar hi andar ghuti rehti hai.. aur sabse jyada hurt tab hota hai jab koi uske mayke walo ki burai kare .. ye kehkar ki mayke walo ne is cheeje mein kami rakh di jabki ladki ke ma bap hamesha apni hasiyat se jyada hi dete hia apni beti ko..aajkal koi dahej nahi mangta par phir bhi ladki k ma bap to apni beti ko jo de sakte hia vo sab kuch dete hai.. lekin tab bhi kabhi samaj k karan kabhi gharwalo k karan bat to aati hi hai kiye cheej nahi di .. ya ye khatirdari nahi ki..
ye cheeje vaise to sadiyo se chalti aa rahi hai par pahle logo men shiksha ka abhav tha jo aaj comparitively kam hai..par phir bhi padhe likhe log hi aisi galti karte haidekha jay to anpadh ya kam padhe log samay k sath chalte hai... unhe in sab cheejo mein koi intrest nahi hota..vo sirf sukh aur khushi dekhna chahte hai..
aaj ki generation jise in sab batton k liye time nahi hai.. na hi aisa kabhi socha hota haiaur aise mein agar shadi k bad vo ye sab face kare tab galat ko bhi sahi bolna padta hai...dhikhava karna padta hai...this all i came to know from one of my friend who got married recently.. i was really shocked ki abhi bhi aisa hota hai...well shayad samay k sath isme bhi change aaye .. yahi aasha k sathi told her to just keep patience and think good for all, no matter what they think about u..bcoz kabhi to acha samne aayega hi..pata nahi aur kitni ladkiyon k sath ye situation hui hai aur hoti hai..May God give courage to all of then to fight against it..

Monday, August 4, 2008

Oh my God, After a long time mein kuch likh rahi hun..I realized ki mein apni sari purani activities bhulti ja rahi hun ... nd ya as usual jaise sabke pass excues hote hai..mere pass bhi hai.. but khete hai na ki apne aap se jhuth bolna bahut hi muskil hota hai.. 3rd august Friendship day..after a long time I met my friends.. i was feeling nice ki we could have a get together .. waise to friendship day ho ya normal day friends k liye to ek sa hi hota hai.. but something makes difference don't know whats that... humne khub masti ki.. had dinner together.. but jab ghar pahunchi aur analyze kiya to i found that kuch hai jo peeche chut raha hai mera... my behaviour got changed.. vo pehle vali puja aur ab mein kafi change aa gaya hai... jabki friends vahi hai.. same as before.. vahi pehle jaise ghanto kisi bhi topic par shuru ho jana.. PJ marna.. masti karna.. but mein shayad kisi bhi cheeje mein participate nahi kar pa rahi thi.. bas unhe sun rahi thi... has rahi thi.. varna mujhe sab pehle kehte the ki kitna bolti hai tu.. kitna hasti hai .. ab chup bhi ho ja... jabki ab sabhi jaise bhulwa rahe the..fir mene socha ki why i got changed.. kyun mein pehle jaise bindass nahi bolti.. .. kyun pehle jaise bachpana nahi raha mujhpe tab mene paya ki main reason hai changes in personal life.. ab kuch responsibilities hai jo pehle kabhi nahi thi.. nd priorities changes.. jo pehle bindas bol sakti thi.. aaj ek bat karne se pehle 10 bar sochna padta hai...hamesha bachoo jaise rahi hun,isliye hamesha vahi kiya jo dil ko sahi laga...but now situation changed.. now I have to always keep in mind ki meri kisi bachpane bhari banton se ki ko bhi hurt na ho jaye.. kuch bar galtiyan bhi karti hun.. kai bar lagta hai life mein kitne tarah k rang hai par kabhi kabhi show offs ki vajah se sare rang fike pad jate hai.. kai bar apne bhi sath nahi hote tab lagta hai kiske liye sab sochna..kiske liye kuch bhi karna.. kyun dhikhawa karna.. kyun pehle jaisi bindas life nahi ho sakti.. kyun ek sath sabko khush nahi rakha ja sakta..why can't I be the old Puja ,why ?
In sab batton se jab paresan hoti hun tab mere dear and near yahi kehta hia ki itna mat socha karo... but thinking is continuous process and mera us par koi control nahi ho sakta.. so I leave the things on GOD... as i have a great faith in GOD.. yahi soch k ki ye changes aaye hai to shayad iske peeche kuch acha chipa hoga..well now I ll try to be regular in blogging... have a good day !!!

Thursday, July 17, 2008

On My Parent's Silver Anniversary

My Very Special Parents Mom and Dad


I may no longer be that little child who always
Wanted another hug or minute with you
But I still miss you when we are apart.




I may no longer need your hand for every step I take
But I still need your acceptance and support of everything I do.


I may not be that little child who asked
For all the things I ever
wanted in the world
But that’s because long ago you taught me
How to go after my dreams.



I may no longer be that little child who
Looked to you to share e
very hurt, smile and tear
But I still feel like that child whenever I think of you…


I’ll always love you, Mom and Dad,
With the heart of that little child
Grown to love you only more.

Mom & Dad, I do think of you often,
Happy Anniversary,
May God convert this silver into Gold.,
Love, Puja